Friday 6 January 2017

Is self clicking on google adsense ads illegal? in urdu, Esa krne k top 5 Nuqsanaat

Kya Google Adsense k ads pr khud click krna gher qanooni hai?

Aisay bohat se log hain jo sirf apni earning barhaane k liye new bloggers ko fake videos bna kr dikhate hain. or us mai earning report fake bna kr dikhate hain k un ki earning self clicking ki wja se bht zyada hai. Sirf is liye k log un ki bnaye video ko dekhen or un k youtube k earning mai izafa ho. Mgr apne faide k liye doosron ko gumrah krna gunah ka kam hai. ese earning kr b li to kya faida. Halaal rizq wo hota hai jo mehnat se kamaaya gya ho.

is k ilawa kch log naye blogger ko self clicking earning ki lalach de kr un se naqd pese batorte hain. Facebook pr aj kal esa bht se log kr rhe hain. 

add post krte hain jis ka title hota hai

Self clicking k top 10 tricks

new blogger comment mai un se poochte hain to wo kehte hain k agr ap ko ye trick seekhne hain to inbox mai ao. jb wo inbox mai ja k un k sath chat krta hai to wo usay lalach de kr us ka mind hack kr dete hain or pese ki demand krte hain k itne pese do ge to tumhe tricks btayen ge. or is tra se wo pese b pay kr deta hai or illegal kam b shuru kr deta hai.

Dosto self clicking bilkull nhi krni chahye. ye ek illegal yani gher qanooni kam hai jis ko google adsense bilkul b acha nhi smjta.

Bht se log sochte hain hm bre ustaad hain hum ese trick se self clicking kren ge k google ko b pta nai chale ga. To dosto ye soch ghalt hai internet pe google se bra koi ustaad nhi hai. is liye apna nuqsaan krne ki bajaye legal triqe se mehnat kr k trafic barha kr pese kamao.

Yahan mai Self clicking k top 5 nuqsanaat btane laga hn. dosto mai nahi chahta k koi b kisi ghalt bande ka kehna maan kr ghalt raaste pr chal pre or baad mai kahe k mje pta nhi tha is liye mai sb ko agaah kr dena chahta hn k self clicking k kya kya nuqsanaat hai.


1st Nuqsaan: 1


Self clicking krne wale ka adsense account seal ho jata hai. kyun k wo google k agreement k khilaf kam kr rha hota hai. Ese logon ki misaal sone ka anda dene wali murghi wali kahani ki tra hai k wo ek hi baar mai saare anday nikalne ki lalach mai murghi se b hath dho bethte hain.


2nd Nuqsaan: 2


Agr self clicking se ap ka account seal nhi b hota to ap k is kam ko notice krte hue google adsense ap ko poori earning pay nhi kre ga. 75% khud rakh le ga or 25% ap ko de ga. Zra sochiye ager ap 1000 rupe kamaate hain or ap ko sirf 250 rupe milen to kitna dukh ho ga? or is dukh ki wja koi or nhi sirf ap ka utha hua ghalt qadam hai jo kisi fake bnde ki baat maan kr ghalt raaste pe chal nikla.


3rd Nuqsaan: 3


Self clicking krne wale ye baat jaan len k esa kr k aap jo b raqam kamayen ge wo haraam ho gi. ye ek bht bra nuqsaan hai. jb aap khud b or apne bachon ko b haraam khilaaen ge to Qyaamat k roz Khuda ko kya jwab den ge. So plz esa krne se bacho


4th Nuqsaan: 4


Aap self clicking kr k earning agr krte b rhe to ap kbi b ache blogger nhi ban pao ge. kyun k aap ne apne blog ko improve krne k liye work to kiya hi nhi bs aap ne koi ghatiya sa article likha or chal pre self clicking se earning krne. esa article ap k ilawa koi b nhi dekhe ga jb traffic nhi ho gi to click b nhi mile ga. or click bs wohi ho ga jo ap kren ge . so you cant be a good blogger with self clicking.


5th Nuqsaan: 5


Self clicking krne wala mehnat kiye bina earning krne ki sochta hai. wo khud clicks to kr leta hai pr usay hr waqt darr lga rehta hai. k kahen adsense account seal na ho jaye . kahen google ko pta na chal jaye . pta nai meri earning mile gi ya nhi.


So pyare dosto ye article mai sb ki behtri k liye likh rha hn . Ta k koi b anjaane mai raaton raat ameer bnne k chakkar mai nuqsaan na uthaye.

Is liye choro illegal kaam or mehnat kro. Mehnat kr k apne blog ko design kro. Ache ache article likho. Ta k ap ki traffic mai izafa ho or ap jo earning kren ap ko yaqeen ho k ye meri halaal ki kamayi hai jo mai ne apni mehnat se hasil ki hai or ye mje zrur mile gi.

agr article se aap ko faida ho to comment mai zrur btayye ga. or mazeed rehnumai k liye b comment kr k pooch len


Duaaon ka Talabgaar Saif Jutt


2 comments:

  1. Hi...You have 9 Google Adsense ads per page may i know how to do this.....

    ReplyDelete